Bas ek din chain ki bitana chahta hoon
Khushiyo se door
Gam se door
Bas ek din chain ki bitana chahta hoon
Hansne se door
Rone se door
Bas ek din chain ki bitana chahta hoon
Jeet se door
Haar se door
Bas ek din chain ki bitana chahta hoon
Kuch pane se door
Kuch khone se door
Bas ek din chain ki bitana chahta hoon
Aaram se door
Thakan se door
Bas ek din chain ki bitana chahta hoon
Sachhai se door
Jhooth se door
Bas ek din chain ki bitana chahta hoon
Apno se door
Parayo se door
Bas ek din chain ki bitana chahta hoon
Aisa ek din mile to sukoon mile
So sakoon jee bhar ke
jag sakoon jee bhar ke
ek puri saans le sakoon jee bhar ke
aage puri zindagi jee loonga us ek din ke sahare
par
Bas ek din chain ki bitana chahta hoon
Zindagi se door
Maut se door
3 comments:
Yaar Amit 22, it is Mind blowing yaar. Bahut hi sahi kavita hai. I think every human being thinks like this atleast once in his lifetime. Once again, great work...
haan sir "Add to Favorites" mein daal diya hai aap ke blog ko..
wow... amazing man....
its really mind blowing.... I didn't know you had such great command over languages (english as well as Hindi) apart from your b'wood, cricket skills...
Post a Comment